ajib karb-o-bala ki hai raat aankhon mein
'ajīb karb-o-balā kī hai raat āñkhoñ meñ
sisaktī pyaas laboñ par furāt āñkhoñ meñ
tumheñ to gardish-e-daurāñ ne rauñd Daalā hai
rahī na koī bhī pahlī sī baat āñkhoñ meñ
qatār-vār sitāroñ kī jagmagāhaT se
sajā ke laa.e haiñ ġham kī barāt āñkhoñ meñ
phir us ko dāman-e-dil meñ kahāñ kahāñ rakkheñ
sameT sakte haiñ jo kā.enāt āñkhoñ meñ
bikhar ga.e haiñ milan ke tamām din 'haidar'
Thahar ga.ī hai judā.ī kī raat āñkhoñ meñ
'ajib karb-o-bala ki hai raat aankhon mein
sisakti pyas labon par furaat aankhon mein
tumhein to gardish-e-dauran ne raund Dala hai
rahi na koi bhi pahli si baat aankhon mein
qatar-war sitaron ki jagmagahaT se
saja ke lae hain gham ki baraat aankhon mein
phir us ko daman-e-dil mein kahan kahan rakkhen
sameT sakte hain jo kaenat aankhon mein
bikhar gae hain milan ke tamam din 'haidar'
Thahar gai hai judai ki raat aankhon mein
- Book : Aiwan (Pg. 41)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.