ajib karb sa hai zindagi ke chehre par
ajiib karb sā hai zindagī ke chehre par
añdherā jaise kisī raushnī ke chehre par
yaqīn kaise karūñ maiñ tumhārī bātoñ kā
ki qatre ashk ke haiñ sho.alagī ke chehre par
chhupā milā mujhe ġham kī siyāh rātoñ meñ
jise maiñ DhūñD rahā huuñ ḳhushī ke chehre par
zamāne-bhar meñ hue hādse jo roz-o-shab
numāyāñ haiñ vo mirī shā.irī ke chehre par
jo ik ḳhulūs thā nāpaid ho gayā 'ahsan'
ġhubār-e-buġhz hai ab dostī ke chehre par
ajib karb sa hai zindagi ke chehre par
andhera jaise kisi raushni ke chehre par
yaqin kaise karun main tumhaari baaton ka
ki qatre ashk ke hain shoalagi ke chehre par
chhupa mila mujhe gham ki siyah raaton mein
jise main DhunD raha hun KHushi ke chehre par
zamane-bhar mein hue hadse jo roz-o-shab
numayan hain wo meri shairi ke chehre par
jo ek KHulus tha napaid ho gaya 'ahsan'
ghubar-e-bughz hai ab dosti ke chehre par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.