ajib KHauf hai jazbon ki be-libasi ka
ajiib ḳhauf hai jazboñ kī be-libāsī kā
javāz pesh karūñ kyā maiñ is udāsī kā
ye dukh zarūrī hai rishte ḳhalā-pazīr hue
adā huā hai magar qarz ḳhud-shanāsī kā
na ḳhvāb aur na ḳhauf-e-shikast-e-ḳhvāb rahā
sabab yahī hai nigāhoñ kī be-harāsī kā
koī hai apne sivā bhī masāfat-e-shab meñ
sahar jo ho to khule raaz ḳhush-qayāsī kā
vo sail-e-ashk simaTne lagā hai sheroñ meñ
jise milā na koī rāsta nikāsī kā
ajib KHauf hai jazbon ki be-libasi ka
jawaz pesh karun kya main is udasi ka
ye dukh zaruri hai rishte KHala-pazir hue
ada hua hai magar qarz KHud-shanasi ka
na KHwab aur na KHauf-e-shikast-e-KHwab raha
sabab yahi hai nigahon ki be-harasi ka
koi hai apne siwa bhi masafat-e-shab mein
sahar jo ho to khule raaz KHush-qayasi ka
wo sail-e-ashk simaTne laga hai sheron mein
jise mila na koi rasta nikasi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.