ajib naqsh banate hawa guzarti hai
'ajīb naqsh banāte havā guzartī hai
ki ḳhadd-o-ḳhāl miTāte havā guzartī hai
sukūt phailne lagtā hai mere chāroñ taraf
phir ek shor machāte havā guzartī hai
hamārī ḳhaak uḌāne se kuchh nahīñ hogā
hamārī ḳhaak uḌāte havā guzartī hai
galī meñ chalte hue ik faqīr ne kal shab
batā diyā jo batāte havā guzartī hai
'ajib naqsh banate hawa guzarti hai
ki KHadd-o-KHal miTate hawa guzarti hai
sukut phailne lagta hai mere chaaron taraf
phir ek shor machate hawa guzarti hai
hamari KHak uDane se kuchh nahin hoga
hamari KHak uDate hawa guzarti hai
gali mein chalte hue ek faqir ne kal shab
bata diya jo batate hawa guzarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.