ajib nashsha hai hoshyar rahna chahta hun
ajiib nashsha hai hoshyār rahnā chāhtā huñ
maiñ us ke ḳhvāb meñ bedār rahnā chāhtā huñ
ye mauj-e-tāza mirī tishnagī kā vahm sahī
maiñ is sarāb meñ sarshār rahnā chāhtā huñ
siyāh chashm mirī vahshatoñ pe tanz na kar
maiñ qātiloñ se ḳhabar-dār rahnā chāhtā huñ
ye dard hī mirā chāra hai tum ko kyā ma.alūm
haTāo haath maiñ bīmār rahnā chāhtā huñ
idhar bhī aa.egī shāyad vo shāh-bānu-e-shahr
ye soch kar sar-e-bāzār rahnā chāhtā huñ
havā gulāb ko chhū kar guzartī rahtī hai
so maiñ bhī itnā gunahgār rahnā chāhtā huñ
ajib nashsha hai hoshyar rahna chahta hun
main us ke KHwab mein bedar rahna chahta hun
ye mauj-e-taza meri tishnagi ka wahm sahi
main is sarab mein sarshaar rahna chahta hun
siyah chashm meri wahshaton pe tanz na kar
main qatilon se KHabar-dar rahna chahta hun
ye dard hi mera chaara hai tum ko kya malum
haTao hath main bimar rahna chahta hun
idhar bhi aaegi shayad wo shah-banu-e-shahr
ye soch kar sar-e-bazar rahna chahta hun
hawa gulab ko chhu kar guzarti rahti hai
so main bhi itna gunahgar rahna chahta hun
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 62)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.