ajib qaid lagai hai tumne pyar ke sath
'ajīb qaid lagā.ī hai tum ne pyaar ke saath
ḳhizāñ-nasīb rahūñ rah ke maiñ bahār ke saath
ġham-e-hayāt se mumkin nahīñ hai chhuTkārā
tirā ḳhayāl bhī hai fikr-e-rozgār ke saath
qarīb hoñToñ ke labrez jaam chhalkānā
'ajab mazāq hai saaqī ye bāda-ḳhvār ke saath
mirā ḳhayāl hai tum bhī na toḌ pāoge
ik aisā rishta-e-mohkam hai intizār ke saath
ye aur baat uThāte haiñ uñgliyāñ dushman
mujhe ḳhushī hai luTā huuñ maiñ rah ke yaar ke saath
luTā ke apnā sabhī kuchh bahut huuñ ḳhush 'dānish'
ḳhayāl un kī ḳhushī kā thā apnī haar ke saath
'ajib qaid lagai hai tum ne pyar ke sath
KHizan-nasib rahun rah ke main bahaar ke sath
gham-e-hayat se mumkin nahin hai chhuTkara
tera KHayal bhi hai fikr-e-rozgar ke sath
qarib honTon ke labrez jam chhalkana
'ajab mazaq hai saqi ye baada-KHwar ke sath
mera KHayal hai tum bhi na toD paoge
ek aisa rishta-e-mohkam hai intizar ke sath
ye aur baat uThate hain ungliyan dushman
mujhe KHushi hai luTa hun main rah ke yar ke sath
luTa ke apna sabhi kuchh bahut hun KHush 'danish'
KHayal un ki KHushi ka tha apni haar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.