ajib rahguzar hai bahut akela hun
ajiib rāhguzar hai bahut akelā huuñ
mujhe bhaTakne kā Dar hai bahut akelā huuñ
koī nazar nahīñ aatā hai ham-mizāj mujhe
yahī to dard-e-jigar hai bahut akelā huuñ
vo ek shaḳhs jo bichhḌā hai ik zamāne se
use bhī is kī ḳhabar hai bahut akelā huuñ
ye aur baat khaḌā huuñ hazāroñ logoñ meñ
yaqīn dil ko magar hai bahut akelā huuñ
vo dekh phir se gulistāñ kā aa gayā mausam
mirī bahār kidhar hai bahut akelā huuñ
maiñ pūchhtā huuñ ye tanhā.ī se ‘sharar-naqvī'
ye aib hai ki hunar hai bahut akelā huuñ
ajib rahguzar hai bahut akela hun
mujhe bhaTakne ka Dar hai bahut akela hun
koi nazar nahin aata hai ham-mizaj mujhe
yahi to dard-e-jigar hai bahut akela hun
wo ek shaKHs jo bichhDa hai ek zamane se
use bhi is ki KHabar hai bahut akela hun
ye aur baat khaDa hun hazaron logon mein
yaqin dil ko magar hai bahut akela hun
wo dekh phir se gulistan ka aa gaya mausam
meri bahaar kidhar hai bahut akela hun
main puchhta hun ye tanhai se ‘sharar-naqwi'
ye aib hai ki hunar hai bahut akela hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.