ajib rang liye aaj milne aaya wo
ajiib rañg liye aaj milne aayā vo
zarā sī der meñ lagne lagā parāyā vo
vahī galī hai vahī shaam hai vahī vahshat
par us darīche meñ chehra na jhilmilāyā vo
na jaane bhiig rahī haiñ abhī se kyuuñ āñkheñ
abhī na shaam huī hai na yaad aayā vo
rakhā dil is ne bharam kuchh to vahshatoñ kā tirī
jab us ko paas bulāyā to paas aayā vo
nahīñ thī sahl mire saath zindagī lekin
kabhī na harf-e-shikāyat zabāñ pe laayā vo
mizāj us kā batā.eñ kisī ko kyā 'ḳhāvar'
kahīñ pe dhuup lagā hai kahīñ pe saayā vo
ajib rang liye aaj milne aaya wo
zara si der mein lagne laga paraya wo
wahi gali hai wahi sham hai wahi wahshat
par us dariche mein chehra na jhilmilaya wo
na jaane bhig rahi hain abhi se kyun aankhen
abhi na sham hui hai na yaad aaya wo
rakha dil is ne bharam kuchh to wahshaton ka teri
jab us ko pas bulaya to pas aaya wo
nahin thi sahl mere sath zindagi lekin
kabhi na harf-e-shikayat zaban pe laya wo
mizaj us ka bataen kisi ko kya 'KHawar'
kahin pe dhup laga hai kahin pe saya wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.