ajib rasm-e-wafa iKHtiyar karte hain
ajiib rasm-e-vafā iḳhtiyār karte haiñ
har ik ḳhushī tire ġham par nisār karte haiñ
na pūchh terī judā.ī meñ kyā guzartī hai
tamām raat sitāre shumār karte haiñ
banā diyā hai haqīqat ko tū ne afsāna
ham ahl-e-dard tirā e.atibār karte haiñ
laboñ pe aah nigāhoñ meñ yaas dil meñ ḳhalish
kisī pe apnī vafā āshkār karte haiñ
jalā ke shaam se ashkoñ ke diip ai 'shabnam'
kisī kā tā-ba-sahar intizār karte haiñ
ajib rasm-e-wafa iKHtiyar karte hain
har ek KHushi tere gham par nisar karte hain
na puchh teri judai mein kya guzarti hai
tamam raat sitare shumar karte hain
bana diya hai haqiqat ko tu ne afsana
hum ahl-e-dard tera eatibar karte hain
labon pe aah nigahon mein yas dil mein KHalish
kisi pe apni wafa aashkar karte hain
jala ke sham se ashkon ke dip ai 'shabnam'
kisi ka ta-ba-sahar intizar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.