ajib rasmon riwajon ka bojh hai hum par
'ajīb rasmoñ rivājoñ kā bojh hai ham par
baḌe buzurgoñ kī qabroñ kā bojh hai ham par
tumhīñ batāo ki ham haq ko haq kaheñ kaise
amīr-e-shahr ke dānoñ kā bojh hai ham par
ki ham ne apne samundar pe zabt pā to liyā
tumheñ pata nahīñ lahroñ kā bojh hai ham par
ham āsmān-e-saḳhāvat haiñ baat maan to leñ
pa kyā kareñ ki sitāroñ kā bojh hai ham par
hameñ hamārī mohabbat na mil sakegī kabhī
na jaane kitne rivājoñ kā bojh hai ham par
thakan utaar ke ham so to jā.eñge lekin
sitam to ye hai ki ḳhvāboñ kā bojh hai ham par
sisakne lagte haiñ aksar hamāre ḳhvāb 'vasīm'
ujālā ho ke añdheroñ kā bojh hai ham par
'ajib rasmon riwajon ka bojh hai hum par
baDe buzurgon ki qabron ka bojh hai hum par
tumhin batao ki hum haq ko haq kahen kaise
amir-e-shahr ke danon ka bojh hai hum par
ki hum ne apne samundar pe zabt pa to liya
tumhein pata nahin lahron ka bojh hai hum par
hum aasman-e-saKHawat hain baat man to len
pa kya karen ki sitaron ka bojh hai hum par
hamein hamari mohabbat na mil sakegi kabhi
na jaane kitne riwajon ka bojh hai hum par
thakan utar ke hum so to jaenge lekin
sitam to ye hai ki KHwabon ka bojh hai hum par
sisakne lagte hain aksar hamare KHwab 'wasim'
ujala ho ke andheron ka bojh hai hum par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.