ajib rog lagaya hai jaan ke pichhe
ajiib rog lagāyā hai jaan ke pīchhe
paḌā huā huuñ usī bad-gumān ke pīchhe
fuzūl kartī haiñ sūraj se be-ruḳhī kā gila
vo kholiyāñ jo haiñ ūñche makān ke pīchhe
ḳhud apne chāk-e-garebāñ ko dekhtā hī nahīñ
vo kaisā mulk hai hindostān ke pīchhe
bahā ke le ga.ī apnī qayām-gāh kahāñ
jo ik nadī thī hamāre makān ke pīchhe
nazar se ahl-e-nazar kī chhupī nahīñ haiñ 'suhail'
jo pastiyāñ haiñ amīroñ kī shaan ke pīchhe
ajib rog lagaya hai jaan ke pichhe
paDa hua hun usi bad-guman ke pichhe
fuzul karti hain suraj se be-ruKHi ka gila
wo kholiyan jo hain unche makan ke pichhe
KHud apne chaak-e-gareban ko dekhta hi nahin
wo kaisa mulk hai hindostan ke pichhe
baha ke le gai apni qayam-gah kahan
jo ek nadi thi hamare makan ke pichhe
nazar se ahl-e-nazar ki chhupi nahin hain 'suhail'
jo pastiyan hain amiron ki shan ke pichhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.