ajib saneha guzra hai in gharon pe koi
ajiib sāneha guzrā hai in gharoñ pe koī
ki chauñktā hī nahīñ ab to dastakoñ pe koī
ujaaḌ shahr ke raste jo ab sunāte haiñ
yaqīn kartā hai kab un kahāniyoñ pe koī
hai baat duur kī manzil kā sochnā ab tū
ki rasta khultā nahīñ hai musāfiroñ pe koī
vo ḳhauf hai ki badan pattharoñ meñ Dhalne lage
'ajab ghaḌī ki duā bhī nahīñ laboñ pe koī
havā bhī tez na thī jab parinda aa ke girā
nahīñ thā zaḳhm bhī 'jāved' in paroñ pe koī
ajib saneha guzra hai in gharon pe koi
ki chaunkta hi nahin ab to dastakon pe koi
ujaD shahr ke raste jo ab sunate hain
yaqin karta hai kab un kahaniyon pe koi
hai baat dur ki manzil ka sochna ab tu
ki rasta khulta nahin hai musafiron pe koi
wo KHauf hai ki badan pattharon mein Dhalne lage
'ajab ghaDi ki dua bhi nahin labon pe koi
hawa bhi tez na thi jab parinda aa ke gira
nahin tha zaKHm bhi 'jawed' in paron pe koi
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 395)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.