ajib shan se nikle hain aaj diwane
ajiib shaan se nikle haiñ aaj dīvāne
laboñ pe mohr-e-ḳhamoshī nazar meñ afsāne
mire junūñ kī koī had nahīñ rahī shāyad
ba-nām-e-ishq vo aa.e haiñ aaj samjhāne
nigāh-e-lutf mohabbat kī maut hai ai dil
ḳhudā kare ki vo mujh ko kabhī na pahchāne
nigāh-e-mast kī haiñ āfrīniyāñ tauba
nazar uThī thī ki gardish meñ aa.e paimāne
ajib shan se nikle hain aaj diwane
labon pe mohr-e-KHamoshi nazar mein afsane
mere junun ki koi had nahin rahi shayad
ba-nam-e-ishq wo aae hain aaj samjhane
nigah-e-lutf mohabbat ki maut hai ai dil
KHuda kare ki wo mujh ko kabhi na pahchane
nigah-e-mast ki hain aafriniyan tauba
nazar uThi thi ki gardish mein aae paimane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.