ajib shaKHs hai kaisi ye justuju hai use
ajiib shaḳhs hai kaisī ye justujū hai use
palak se ḳhaar uThāne kī aarzū hai use
vo ḳhvāhishoñ ke diye har qadam jalātā hai
talāsh kaun se chehre kī chaar sū hai use
vo taaq taaq jo yādoñ ke phuul rakhtā hai
ye kis junūn kī dīvār rū-ba-rū hai use
zamāne bhar ke sitāre haiñ aañkh ke aage
bas ek naam hī kyuuñ harf-e-guftugū hai use
kyuuñ ek ḳhvāb ko āñkhoñ meñ le ke phirtā hai
kyuuñ ek dard kā ehsās kū-ba-kū hai use
ajib shaKHs hai kaisi ye justuju hai use
palak se KHar uThane ki aarzu hai use
wo KHwahishon ke diye har qadam jalata hai
talash kaun se chehre ki chaar su hai use
wo taq taq jo yaadon ke phul rakhta hai
ye kis junun ki diwar ru-ba-ru hai use
zamane bhar ke sitare hain aankh ke aage
bas ek nam hi kyun harf-e-guftugu hai use
kyun ek KHwab ko aankhon mein le ke phirta hai
kyun ek dard ka ehsas ku-ba-ku hai use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.