ajib shaKHs tha mansur sochta hun main
ajiib shaḳhs thā mansūr sochtā huuñ maiñ
ki de ke sar bhī pukārā kiyā ḳhudā huuñ maiñ
na sair-gāh na merī qayām-gāh yahāñ
bhaTak ke hadd-e-ta.ayyun meñ aa gayā huuñ maiñ
ḳhirad kī saarī hadeñ paar ho ga.iiñ phir bhī
kisī pe ye na khulā aaj tak ki kyā huuñ maiñ
sunā hai jab se har ik shai meñ terā jalva hai
baḌe ġhurūr se ā.īna dekhtā huuñ maiñ
ajib shaKHs tha mansur sochta hun main
ki de ke sar bhi pukara kiya KHuda hun main
na sair-gah na meri qayam-gah yahan
bhaTak ke hadd-e-tayyun mein aa gaya hun main
KHirad ki sari haden par ho gain phir bhi
kisi pe ye na khula aaj tak ki kya hun main
suna hai jab se har ek shai mein tera jalwa hai
baDe ghurur se aaina dekhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.