ajib shor parindon ki us uDan mein tha
ajiib shor parindoñ kī us uḌaan meñ thā
safar ke baad safar kā maza takān meñ thā
havā chalī jo kabhī chauñk chauñk uThtā thā
tamām dasht hī jaise kisī ke dhyān meñ thā
jo baat us ke muḳhālif thī us se kah na sake
anā kā ek samundar bhī darmiyān meñ thā
zarā sī baat pe jo shaḳhs jaañ pe khel gayā
ḳhabar na thī vo baḌe saḳht imtihān meñ thā
ye kyā ki tū bhī hifāzat na kar sakā merī
tujhe ḳhabar thī ki maiñ bhī tirī amaan meñ thā
ajib shor parindon ki us uDan mein tha
safar ke baad safar ka maza takan mein tha
hawa chali jo kabhi chaunk chaunk uThta tha
tamam dasht hi jaise kisi ke dhyan mein tha
jo baat us ke muKHalif thi us se kah na sake
ana ka ek samundar bhi darmiyan mein tha
zara si baat pe jo shaKHs jaan pe khel gaya
KHabar na thi wo baDe saKHt imtihan mein tha
ye kya ki tu bhi hifazat na kar saka meri
tujhe KHabar thi ki main bhi teri aman mein tha
- Book : سکوت دشت (Pg. 52)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.