ajib tajraba aankhon ko hone wala tha
ajiib tajraba āñkhoñ ko hone vaalā thā
baġhair niiñd maiñ kal raat sone vaalā thā
tabhī vahīñ mujhe us kī hañsī sunā.ī paḌī
maiñ us kī yaad meñ palkeñ bhigone vaalā thā
kisī badan kī sadā ne bachā liyā mujh ko
maiñ varna ruuh ke jangal meñ khone vaalā thā
ye soch soch ke ab to hañsī sī aatī hai
shurū-e-ishq meñ kitnā maiñ rone vaalā thā
kabhī huī na mulāqāt shahr se merī
maiñ jab bhī so ke uThā shahr sone vaalā thā
agar yahī hai mohabbat to hone vaalī thī
vo milne vaalā thā mujh ko maiñ khone vaalā thā
mujhe nikāl diyā ta.aziyat ke jalse se
ki bas vahāñ maiñ akelā hī rone vaalā thā
ye merā dīda-e-tar ḳhushk ho gayā varna
mire liye bhī yahāñ koī rone vaalā thā
is aa.ine ne usūloñ pe zid na kī varna
maiñ apne aap ke bar-aks hone vaalā thā
kisī ne mahfil-e-duniyā kī dhun badal Daalī
zamāna jab mirā ham-raqs hone vaalā thā
vahāñ bas ik dil-e-ḳhālī thā aur miyāñ-'ehsās'
na ishq un ko huā thā na hone vaalā thā
ajib tajraba aankhon ko hone wala tha
baghair nind main kal raat sone wala tha
tabhi wahin mujhe us ki hansi sunai paDi
main us ki yaad mein palken bhigone wala tha
kisi badan ki sada ne bacha liya mujh ko
main warna ruh ke jangal mein khone wala tha
ye soch soch ke ab to hansi si aati hai
shuru-e-ishq mein kitna main rone wala tha
kabhi hui na mulaqat shahr se meri
main jab bhi so ke uTha shahr sone wala tha
agar yahi hai mohabbat to hone wali thi
wo milne wala tha mujh ko main khone wala tha
mujhe nikal diya taziyat ke jalse se
ki bas wahan main akela hi rone wala tha
ye mera dida-e-tar KHushk ho gaya warna
mere liye bhi yahan koi rone wala tha
is aaine ne usulon pe zid na ki warna
main apne aap ke bar-aks hone wala tha
kisi ne mahfil-e-duniya ki dhun badal Dali
zamana jab mera ham-raqs hone wala tha
wahan bas ek dil-e-KHali tha aur miyan-'ehsas'
na ishq un ko hua tha na hone wala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.