ajib taur ke tewar dikha gaya ek shaKHs
ajiib taur ke tevar dikhā gayā ik shaḳhs
hañsī hañsī meñ har ik ko rulā gayā ik shaḳhs
hamāre us se dil-o-jāñ ke saikḌoñ rishte
hamīñ se saaf nigāheñ churā gayā ik shaḳhs
maza to jab hai ki saarā zamāna kah uTThe
usī kī chaah meñ ḳhud ko miTā gayā ik shaḳhs
jo bujh gayā to huā aur bhī daraḳhshanda
charāġh aise lahū ke jalā gayā ik shaḳhs
ye aur baat ki vo ham se duur duur rahā
dil-o-dimāġh pe vaise to chhā gayā ik shaḳhs
kuchh is tarah se shagufta harīm-e-jāñ meñ huā
nafas nafas meñ mahak sī rachā gayā ik shaḳhs
hamāre qurb se jis ko gurez rahtā thā
misāl-e-ḳhūn-e-rag-e-jāñ samā gayā ik shaḳhs
ye us kī ishva-tarāzī kā ik karishma hai
ki yaad aa ke har ik ko bhulā gayā ik shaḳhs
ajib taur ke tewar dikha gaya ek shaKHs
hansi hansi mein har ek ko rula gaya ek shaKHs
hamare us se dil-o-jaan ke saikDon rishte
hamin se saf nigahen chura gaya ek shaKHs
maza to jab hai ki sara zamana kah uTThe
usi ki chah mein KHud ko miTa gaya ek shaKHs
jo bujh gaya to hua aur bhi daraKHshanda
charagh aise lahu ke jala gaya ek shaKHs
ye aur baat ki wo hum se dur dur raha
dil-o-dimagh pe waise to chha gaya ek shaKHs
kuchh is tarah se shagufta harim-e-jaan mein hua
nafas nafas mein mahak si racha gaya ek shaKHs
hamare qurb se jis ko gurez rahta tha
misal-e-KHun-e-rag-e-jaan sama gaya ek shaKHs
ye us ki ishwa-taraazi ka ek karishma hai
ki yaad aa ke har ek ko bhula gaya ek shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.