ajib tishnagi har su mere badan mein hai
ajiib tishnagī har sū mire badan meñ hai
kisī sarāb kā aahū mire badan meñ hai
kisī se ishq sā hone ko hai ye tum ho kyā
na.e gulāb kī ḳhushbū mire badan meñ hai
kabhī kisī se bhī khul kar maiñ mil nahīñ saktā
mujhe ḳhabar hai ki bas tū mire badan meñ hai
mahal ko chhoḌ ke aa jaatī haiñ zuleḳhā.eñ
na jaane kaun sā jaadū mire badan meñ hai
sadāqateñ khanak uThtī haiñ baat jab nikle
vahī zabān vo taalū mire badan meñ hai
mire qarīb jo aao to dil baḌā rakhnā
burī-bhalī ghirī har ḳhū mere badan meñ hai
siyāsatoñ ne go shaitāñ hī kar diyā mujh ko
nahīñ maiñ bhūltā sādhū mire badan meñ hai
mire muqāble hūroñ kā qāfila 'az.har'
balā se zabt hai qaabū mere badan meñ hai
ajib tishnagi har su mere badan mein hai
kisi sarab ka aahu mere badan mein hai
kisi se ishq sa hone ko hai ye tum ho kya
nae gulab ki KHushbu mere badan mein hai
kabhi kisi se bhi khul kar main mil nahin sakta
mujhe KHabar hai ki bas tu mere badan mein hai
mahal ko chhoD ke aa jati hain zuleKHaen
na jaane kaun sa jadu mere badan mein hai
sadaqaten khanak uThti hain baat jab nikle
wahi zaban wo talu mere badan mein hai
mere qarib jo aao to dil baDa rakhna
buri-bhali ghiri har KHu mere badan mein hai
siyasaton ne go shaitan hi kar diya mujh ko
nahin main bhulta sadhu mere badan mein hai
mere muqable huron ka qafila 'azhar'
bala se zabt hai qabu mere badan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.