ajib zulm hai sayyaad ki hawas ki tarah
ajiib zulm hai sayyād kī havas kī tarah
sulūk kartā hai mujh se chaman qafas kī tarah
hamāre dam se haiñ mahfūz-o-shād barg-o-saman
hameñ na pheñk chaman se yuuñ ḳhār-o-ḳhas kī tarah
maiñ apne vāste amrit kahāñ juTātā huuñ
maiñ apne ras ke ḳhazāne pe huuñ magas kī tarah
zarūr tū hai numāyāñ sitamgarī meñ zarūr
hamārā dard bhī baḌhtā hai tere jas kī tarah
koī ḳhulūs milā kar agar pilā.e to
surūr chhāchh bhī detī hai somras kī tarah
kisī ne jaal bichhāyā hai ġhaur se dekho
ki shāḳh shāḳh gulistāñ meñ hai chakas kī tarah
bahut ajiib kahānī hai mere aalam kī
banā sifar se huuñ maiñ ek anek das kī tarah
agar maiñ huuñ to maiñ huuñ aur agar gayā to gayā
maiñ mo'atabar nahīñ nā-mo'tabar nafas kī tarah
na jaane kaun se jangal kā jiiv hai vaa.iz
sharāb piitā hai kam-baḳht bul-havas kī tarah
ye buzdilī kā tilism ab to toḌ de 'kundan'
ki baañg detī hai pāzeb bhī jaras kī tarah
ajib zulm hai sayyaad ki hawas ki tarah
suluk karta hai mujh se chaman qafas ki tarah
hamare dam se hain mahfuz-o-shad barg-o-saman
hamein na phenk chaman se yun KHar-o-KHas ki tarah
main apne waste amrit kahan juTata hun
main apne ras ke KHazane pe hun magas ki tarah
zarur tu hai numayan sitamgari mein zarur
hamara dard bhi baDhta hai tere jas ki tarah
koi KHulus mila kar agar pilae to
surur chhachh bhi deti hai somras ki tarah
kisi ne jal bichhaya hai ghaur se dekho
ki shaKH shaKH gulistan mein hai chakas ki tarah
bahut ajib kahani hai mere aalam ki
bana sifar se hun main ek anek das ki tarah
agar main hun to main hun aur agar gaya to gaya
main mo'atabar nahin na-mo'tabar nafas ki tarah
na jaane kaun se jangal ka jiw hai waiz
sharab pita hai kam-baKHt bul-hawas ki tarah
ye buzdili ka tilism ab to toD de 'kundan'
ki bang deti hai pazeb bhi jaras ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.