ajnabi ban ke hain log aae hue
ajnabī ban ke haiñ log aa.e hue
bazm meñ dost bhī sab parā.e hue
baat se baat baḌhtī ga.ī yaad kī
ham isī yaad ke haiñ satā.e hue
bolte haiñ zabāñ jo kisī aur kī
vo kahāñ haiñ hamāre sikhā.e hue
us nazar kī adā hai ki us ne mujhe
dekh kar bhī nazar haiñ jhukā.e hue
vo pahelī nahīñ jo sulajh na sake
koī ġham hai use ḳhud chhupā.e hue
baaz atā nahīñ apnī fitrat se vo
aaj phir hai tavajjoh haTā.e hue
haar ke rāstoñ se guzar ke milā
qāfila jiit kā sar uThā.e hue
tū mire shahr aa jā kabhī shaam ko
ham nazar raah meñ haiñ bichhā.e hue
jo chalā jā rahā apnī dhun meñ magan
phir bhī 'nik.hat' use hai manā.e hue
ajnabi ban ke hain log aae hue
bazm mein dost bhi sab parae hue
baat se baat baDhti gai yaad ki
hum isi yaad ke hain satae hue
bolte hain zaban jo kisi aur ki
wo kahan hain hamare sikhae hue
us nazar ki ada hai ki us ne mujhe
dekh kar bhi nazar hain jhukae hue
wo paheli nahin jo sulajh na sake
koi gham hai use KHud chhupae hue
baz ata nahin apni fitrat se wo
aaj phir hai tawajjoh haTae hue
haar ke raston se guzar ke mila
qafila jit ka sar uThae hue
tu mere shahr aa ja kabhi sham ko
hum nazar rah mein hain bichhae hue
jo chala ja raha apni dhun mein magan
phir bhi 'nikhat' use hai manae hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.