ajnabi ban ke to guzra mat kar
ajnabī ban ke to guzrā mat kar
dostī kā yuuñ tamāshā mat kar
terī āñkheñ nahīñ do jugnū haiñ
be-sabab un ko bhigoyā mat kar
us ke aane kā gumāñ hotā hai
ai havā pardā hilāyā mat kar
maiñ musāfir huuñ safar qismat hai
mere baare meñ tū sochā mat kar
zindagī ho ki mohabbat ho shams'
aisī chīzoñ pe bharosa mat kar
ajnabi ban ke to guzra mat kar
dosti ka yun tamasha mat kar
teri aankhen nahin do jugnu hain
be-sabab un ko bhigoya mat kar
us ke aane ka guman hota hai
ai hawa parda hilaya mat kar
main musafir hun safar qismat hai
mere bare mein tu socha mat kar
zindagi ho ki mohabbat ho shams'
aisi chizon pe bharosa mat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.