ajnabi dil ki ajab tarz-e-bayan thi pahle
ajnabī dil kī ajab tarz-e-bayāñ thī pahle
lab thī tasvīr nigāhoñ meñ zabāñ thī pahle
ham ne tā-sub.h jalā.e haiñ vafāoñ ke charāġh
tere kūcha meñ bhī qadar-e-dil-o-jāñ thī pahle
aaj har gaam pe zanjīr hai har baat pe daar
itnī maqbūl kahīñ umr-e-ravāñ thī pahle
dair-o-ka.aba se nikal aa.e to ārām milā
ham ko bhī ik ḳhalish-e-sūd-o-ziyāñ thī pahle
husn-e-yūsuf ko milī ḳhidmat-e-zindāñ 'saifī'
be-gunāhī bhī baḌī āfat-e-jāñ thī pahle
ajnabi dil ki ajab tarz-e-bayan thi pahle
lab thi taswir nigahon mein zaban thi pahle
hum ne ta-subh jalae hain wafaon ke charagh
tere kucha mein bhi qadar-e-dil-o-jaan thi pahle
aaj har gam pe zanjir hai har baat pe dar
itni maqbul kahin umr-e-rawan thi pahle
dair-o-kaba se nikal aae to aaram mila
hum ko bhi ek KHalish-e-sud-o-ziyan thi pahle
husn-e-yusuf ko mili KHidmat-e-zindan 'saifi'
be-gunahi bhi baDi aafat-e-jaan thi pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.