ajnabi KHwahishen sine mein daba bhi na sakun
ajnabī ḳhvāhisheñ siine meñ dabā bhī na sakūñ
aise ziddī haiñ parinde ki uḌā bhī na sakūñ
phūñk Dālūñgā kisī roz maiñ dil kī duniyā
ye tirā ḳhat to nahīñ hai ki jilā bhī na sakūñ
mirī ġhairat bhī koī shai hai ki mahfil meñ mujhe
us ne is tarah bulāyā hai ki jā bhī na sakūñ
phal to sab mere daraḳhtoñ ke pake haiñ lekin
itnī kamzor haiñ shāḳheñ ki hilā bhī na sakūñ
ik na ik roz kahīñ DhūñD hī lūñgā tujh ko
Thokareñ zahr nahīñ haiñ ki maiñ khā bhī na sakūñ
ajnabi KHwahishen sine mein daba bhi na sakun
aise ziddi hain parinde ki uDa bhi na sakun
phunk Dalunga kisi roz main dil ki duniya
ye tera KHat to nahin hai ki jila bhi na sakun
meri ghairat bhi koi shai hai ki mahfil mein mujhe
us ne is tarah bulaya hai ki ja bhi na sakun
phal to sab mere daraKHton ke pake hain lekin
itni kamzor hain shaKHen ki hila bhi na sakun
ek na ek roz kahin DhunD hi lunga tujh ko
Thokaren zahr nahin hain ki main kha bhi na sakun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.