ajnabi rahguzar ke the hi nahin
ajnabī rahguzar ke the hī nahīñ
ham jidhar the udhar ke the hī nahīñ
chhoḌ kar apnā ghar kahāñ jaate
ham kisī aur ghar ke the hī nahīñ
kaise aate vo ham-safar vāpas
jo hamāre safar ke the hī nahīñ
jo na aa.e hamāre dāman meñ
phal hamāre shajar ke the hī nahīñ
vo nazāre jo ham se duur rahe
vo hamārī nazar ke the hī nahīñ
saath chalte kisī ke ham kab tak
ham parā.ī Dagar ke the hī nahīñ
chal diye chhoḌ kar jo yaar 'kañval'
vo hamāre nagar ke the hī nahīñ
ajnabi rahguzar ke the hi nahin
hum jidhar the udhar ke the hi nahin
chhoD kar apna ghar kahan jate
hum kisi aur ghar ke the hi nahin
kaise aate wo ham-safar wapas
jo hamare safar ke the hi nahin
jo na aae hamare daman mein
phal hamare shajar ke the hi nahin
wo nazare jo hum se dur rahe
wo hamari nazar ke the hi nahin
sath chalte kisi ke hum kab tak
hum parai Dagar ke the hi nahin
chal diye chhoD kar jo yar 'kanwal'
wo hamare nagar ke the hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.