Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ajnabi shahr ki ajnabi sham mein

Najma Shaheen Khosa

ajnabi shahr ki ajnabi sham mein

Najma Shaheen Khosa

MORE BYNajma Shaheen Khosa

    ajnabī shahr ajnabī shaam meñ

    zindagī Dhal ga.ī malgajī shaam meñ

    shaam āñkhoñ meñ utrī usī shaam ko

    zindagī se ga.ī zindagī shaam meñ

    dard lahr meñ zindagī bah ga.ī

    'umr yuuñ kaT ga.ī hijr shaam meñ

    'ishq par āfrīñ jo salāmat rahā

    us bikhartī huī surma.ī shaam meñ

    merī palkoñ chilman pe jo ḳhvāb the

    vo to sab jal ga.e is bujhī shaam meñ

    har taraf ashk aur siskiyāñ hijr

    dard dard hai har ghaḌī shaam meñ

    āḳhirī baar aayā thā milne koī

    hijr mujh ko milā vasl shaam meñ

    raat 'shāhīn' āñkhoñ meñ kaTne lagī

    is tarah gum huī raushnī shaam meñ

    ajnabi shahr ki ajnabi sham mein

    zindagi Dhal gai malgaji sham mein

    sham aankhon mein utri usi sham ko

    zindagi se gai zindagi sham mein

    dard ki lahr mein zindagi bah gai

    'umr yun kaT gai hijr ki sham mein

    'ishq par aafrin jo salamat raha

    us bikharti hui surmai sham mein

    meri palkon ki chilman pe jo KHwab the

    wo to sab jal gae is bujhi sham mein

    har taraf ashk aur siskiyan hijr ki

    dard hi dard hai har ghaDi sham mein

    aaKHiri bar aaya tha milne koi

    hijr mujh ko mila wasl ki sham mein

    raat 'shahin' aankhon mein kaTne lagi

    is tarah gum hui raushni sham mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now