ajnabi shahr mein ghar yaad aaya
ajnabī shahr meñ ghar yaad aayā
dhuup dekhī to shajar yaad aayā
qalb-e-daulat ko tamannā-e-sukūñ
zehn-e-iflās ko zar yaad aayā
band darvāze pe dastak sun kar
hai duāoñ meñ asar yaad aayā
dasht-e-afkār kī vus.at yā-rab
koī dīvār na dar yaad aayā
kaif-āvar tire lahje kī khanak
nashsha-e-zūd-asar yaad aayā
qasr-e-imroz meñ urdu dekhī
laal qila meñ 'zafar' yaad aayā
chand ash.ār-e-'muazzam' kah kar
aaj 'ġhālib' kā hunar yaad aayā
ajnabi shahr mein ghar yaad aaya
dhup dekhi to shajar yaad aaya
qalb-e-daulat ko tamanna-e-sukun
zehn-e-iflas ko zar yaad aaya
band darwaze pe dastak sun kar
hai duaon mein asar yaad aaya
dasht-e-afkar ki wusat ya-rab
koi diwar na dar yaad aaya
kaif-awar tere lahje ki khanak
nashsha-e-zud-asar yaad aaya
qasr-e-imroz mein urdu dekhi
lal qila mein 'zafar' yaad aaya
chand ashaar-e-'muazzam' kah kar
aaj 'ghaalib' ka hunar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.