ajnabi tha wo jis ko khoya tha
ajnabī thā vo jis ko khoyā thā
phir bhī maiñ saarī raat royā thā
umr bhar duur ho na paa.ī thakan
maiñ ne palkoñ pe ashk Dhoyā thā
ho ga.ī hai zamīñ vo ab banjar
jis jagah ik faqīr royā thā
daaġh paanī ke lag ga.e the ka.ī
maiñ ne un ko lahū se dhoyā thā
lahreñ roiiñ lipaT lipaT ke bahut
mujh ko dariyā ne jab Duboyā thā
ajnabi tha wo jis ko khoya tha
phir bhi main sari raat roya tha
umr bhar dur ho na pai thakan
main ne palkon pe ashk Dhoya tha
ho gai hai zamin wo ab banjar
jis jagah ek faqir roya tha
dagh pani ke lag gae the kai
main ne un ko lahu se dhoya tha
lahren roin lipaT lipaT ke bahut
mujh ko dariya ne jab Duboya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.