ajr kya hai azab kya shai hai
ajr kyā hai azaab kyā shai hai
ye gunāh-o-savāb kyā shai hai
tere hijrāñ meñ ye khulā mujh par
ruuh kā iztirāb kyā shai hai
in bahāroñ ke kyā ma.ānī haiñ
titlī ḳhushbū gulāb kyā shai hai
terā chehra hī jāntā huuñ maiñ
kyā ḳhabar māhtāb kyā shai hai
dasht meñ kaun mujh ko samjhā.e
paanī kyā hai sarāb kyā shai hai
zindagī be-takallufī hai miyāñ
ḳhud batāo hijāb kyā shai hai
barq sho.ala na raushnī hai koī
phir tirī āb-o-tāb kyā shai hai
terī āñkhoñ se jo nasha paayā
jaam kyā hai sharāb kyā shai hai
kyā muamma hai lafz-e-uryānī
parda kyā hai naqāb kyā shai hai
ek 'vāqif' samajh nahīñ aatā
jaane ālī-janāb kyā shai hai
ajr kya hai azab kya shai hai
ye gunah-o-sawab kya shai hai
tere hijran mein ye khula mujh par
ruh ka iztirab kya shai hai
in bahaaron ke kya maani hain
titli KHushbu gulab kya shai hai
tera chehra hi jaanta hun main
kya KHabar mahtab kya shai hai
dasht mein kaun mujh ko samjhae
pani kya hai sarab kya shai hai
zindagi be-takallufi hai miyan
KHud batao hijab kya shai hai
barq shoala na raushni hai koi
phir teri aab-o-tab kya shai hai
teri aankhon se jo nasha paya
jam kya hai sharab kya shai hai
kya muamma hai lafz-e-uryani
parda kya hai naqab kya shai hai
ek 'waqif' samajh nahin aata
jaane aali-janab kya shai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.