akela chhoD gaya mujhko qafila mera
akelā chhoḌ gayā mujh ko qāfila merā
safar meñ saath rahā sirf hausla merā
na jaane kitne masā.il ne us ko gher liyā
vo jis ke sāmne pohñchā hai mas.ala merā
vo rū-barū bhī rahā mahv-e-guftugū bhī rahā
zarā bhī kam na huā us se fāsla merā
maiñ koī sub.h kā aḳhbār to nahīñ yaaro
yahīñ to ḳhatm na hogā mu'āmla merā
akela chhoD gaya mujh ko qafila mera
safar mein sath raha sirf hausla mera
na jaane kitne masail ne us ko gher liya
wo jis ke samne pohncha hai masala mera
wo ru-baru bhi raha mahw-e-guftugu bhi raha
zara bhi kam na hua us se fasla mera
main koi subh ka aKHbar to nahin yaro
yahin to KHatm na hoga mu'amla mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.