akela hun magar aabaad hun main
akelā huuñ magar ābād huuñ maiñ
qafas meñ hī sahī āzād huuñ maiñ
mujhe dil meñ liye vo ghūmtā hai
ki us kī an-kahī fariyād huuñ maiñ
ye duniyā maqtaloñ se kam kahāñ hai
sabhī ke qatl se nāshād huuñ maiñ
mire siine pe kis ke naqsh-e-pā haiñ
ye kis kī zaat se barbād huuñ maiñ
zamāna shauq se suntā hai mujh ko
zamāne se juḌī rūdād huuñ maiñ
qatār-e-marg meñ huuñ sochtā huuñ
ki kis se pahle kis ke baad huuñ maiñ
akela hun magar aabaad hun main
qafas mein hi sahi aazad hun main
mujhe dil mein liye wo ghumta hai
ki us ki an-kahi fariyaad hun main
ye duniya maqtalon se kam kahan hai
sabhi ke qatl se nashad hun main
mere sine pe kis ke naqsh-e-pa hain
ye kis ki zat se barbaad hun main
zamana shauq se sunta hai mujh ko
zamane se juDi rudad hun main
qatar-e-marg mein hun sochta hun
ki kis se pahle kis ke baad hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.