akela kis ko dene shah gaya hai
akelā kis ko dene shah gayā hai
samundar ke jo zer-e-tah gayā hai
siyāsat kī paḌī hai ab bhī tujh ko
mirā ghar pāniyoñ meñ bah gayā hai
amīr-e-shahr ko kyā fikr is kī
ġharīb-e-shahr kā ghar Dhah gayā hai
baḌā thā hausla us shaḳhs kā jo
mohabbat ke ġhamoñ ko sah gayā hai
zabānī yaad haiñ jo chand ġhazleñ
asāsa ab yahī kuchh rah gayā hai
ka.ī bachche abhī tak ro rahe haiñ
koī jaane unheñ kyā kah gayā hai
akela kis ko dene shah gaya hai
samundar ke jo zer-e-tah gaya hai
siyasat ki paDi hai ab bhi tujh ko
mera ghar paniyon mein bah gaya hai
amir-e-shahr ko kya fikr is ki
gharib-e-shahr ka ghar Dhah gaya hai
baDa tha hausla us shaKHs ka jo
mohabbat ke ghamon ko sah gaya hai
zabani yaad hain jo chand ghazlen
asasa ab yahi kuchh rah gaya hai
kai bachche abhi tak ro rahe hain
koi jaane unhen kya kah gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.