akele-pan ka koi hal nahin mila mujhko
akele-pan kā koī hal nahīñ milā mujh ko
kisī kā saath musalsal nahīñ milā mujh ko
kisī meñ aib ziyāda kisī meñ ḳhūbiyāñ kam
koī bhī shaḳhs mukammal nahīñ milā mujh ko
ḳhud apne āñsūoñ se paap dho liye maiñ ne
ki is se shuddh koī jal nahīñ milā mujh ko
jab us ke shahr meñ pahuñchā to ek apne sivā
koī bhī aadmī paidal nahīñ milā mujh ko
maiñ sar liye hue phirtā rahā magar 'dānish'
mire mizāj kā maqtal nahīñ milā mujh ko
akele-pan ka koi hal nahin mila mujh ko
kisi ka sath musalsal nahin mila mujh ko
kisi mein aib ziyaada kisi mein KHubiyan kam
koi bhi shaKHs mukammal nahin mila mujh ko
KHud apne aansuon se pap dho liye main ne
ki is se shuddh koi jal nahin mila mujh ko
jab us ke shahr mein pahuncha to ek apne siwa
koi bhi aadmi paidal nahin mila mujh ko
main sar liye hue phirta raha magar 'danish'
mere mizaj ka maqtal nahin mila mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.