aKHbar kya ki apni bhi KHair-o-KHabar se dur
aḳhbār kyā ki apnī bhī ḳhair-o-ḳhabar se duur
kuchh roz chal ke rahte haiñ fikr-o-nazar se duur
pahle thiiñ rāteñ ġhair-zarūrī safar se duur
ab din guzārnā nahīñ āsān ghar se duur
shab se sahar se shaam se pichhle pahar se duur
har justujū hai jaise guzar se basar se duur
rakh zehn ko futūr se aur dil ko Dar se duur
matlūb hai shu.ūr ko rakhnā jo shar se duur
har tarah ke gurez hazar aur mafar se duur
aa chal ke dekheñ ab kisī sīdhī Dagar se duur
az ḳhud nahīñ ye saare musaḳhḳhar nazar se duur
ham din meñ shams aur haiñ shab meñ qamar se duur
aKHbar kya ki apni bhi KHair-o-KHabar se dur
kuchh roz chal ke rahte hain fikr-o-nazar se dur
pahle thin raaten ghair-zaruri safar se dur
ab din guzarna nahin aasan ghar se dur
shab se sahar se sham se pichhle pahar se dur
har justuju hai jaise guzar se basar se dur
rakh zehn ko futur se aur dil ko Dar se dur
matlub hai shuur ko rakhna jo shar se dur
har tarah ke gurez hazar aur mafar se dur
aa chal ke dekhen ab kisi sidhi Dagar se dur
az KHud nahin ye sare musaKHKHar nazar se dur
hum din mein shams aur hain shab mein qamar se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.