aKHtar ko to riye mein bhi hai aar kya kare
'aḳhtar' ko to riye meñ bhī hai 'aar kyā kare
baiThā huā hai der se be-kār kyā kare
yak hujūm-e-dard aur aur e tamām
dil zer par lagā.e hai minqār kyā kare
tārīḳh ki rahī hai ki miTtā nahīñ hai zulm
muḳhtār-e-kul batā tirā sansār kyā kare
khīñche hai sab ko dast-e-fanā ek sā to phir
ek sāda-lauh kare yahāñ 'ayyār kyā kare
koī nahīñ hai mujh ko hunar rozgār kā
juz ḳhāksār midhat-e-sarkār kyā kare
jo saarī kā.enāt kī fitrat kā ho amiiñ
har tajrabe kā jo ho ḳharīdār kyā kare
jī muztarib hai hiddat-e-qīl-o-maqāl meñ
DhūñDe hai koī sāya-e-dīvār kyā kare
shahroñ meñ merī ḳhaak aḌe misl-e-bū-e-gul
be-shāma hai ḳhalq-e-tarah-dār kyā kare
maulā madad ki maiñ huuñ azādār-e-āl-e-ū
aaqā tire baġhair gunahgār kyā kare
'aKHtar' ko to riye mein bhi hai 'ar kya kare
baiTha hua hai der se be-kar kya kare
yak hujum-e-dard aur aur e tamam
dil zer par lagae hai minqar kya kare
tariKH ki rahi hai ki miTta nahin hai zulm
muKHtar-e-kul bata tera sansar kya kare
khinche hai sab ko dast-e-fana ek sa to phir
ek sada-lauh kare yahan 'ayyar kya kare
koi nahin hai mujh ko hunar rozgar ka
juz KHaksar midhat-e-sarkar kya kare
jo sari kaenat ki fitrat ka ho amin
har tajrabe ka jo ho KHaridar kya kare
ji muztarib hai hiddat-e-qil-o-maqal mein
DhunDe hai koi saya-e-diwar kya kare
shahron mein meri KHak aDe misl-e-bu-e-gul
be-shama hai KHalq-e-tarah-dar kya kare
maula madad ki main hun azadar-e-al-e-u
aaqa tere baghair gunahgar kya kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.