aks aaseb aaina jangal
aks aaseb aa.ina jañgal
ibtidā abr intihā jañgal
hai havā hamd aur duā jañgal
aadmī ḳhaak hai ḳhudā jañgal
kaun is ko jalāne vaalā thā
apnī hī aag meñ jalā jañgal
bain bārish ke naddiyāñ naale
aur mausam kā marsiya jañgal
jugnuoñ kī zabān samjheñ to
sau kathāoñ kī ik kathā jañgal
jaane kis ko sadā.eñ detā hai
bastiyoñ meñ makān kā jañgal
ḳhvāb meñ kyuuñ dikhā.ī dete haiñ
bolte peḌ jāgtā jañgal
aks aaseb aaina jangal
ibtida abr intiha jangal
hai hawa hamd aur dua jangal
aadmi KHak hai KHuda jangal
kaun is ko jalane wala tha
apni hi aag mein jala jangal
bain barish ke naddiyan nale
aur mausam ka marsiya jangal
jugnuon ki zaban samjhen to
sau kathaon ki ek katha jangal
jaane kis ko sadaen deta hai
bastiyon mein makan ka jangal
KHwab mein kyun dikhai dete hain
bolte peD jagta jangal
- Book : Bayazain Kho Gayee Hain (Pg. 97)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vag Devi Parkashan, Biconer (Rajisthan) (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.