aks ban kar chala gaya main bhi
'aks ban kar chalā gayā maiñ bhī
aa.ine meñ koī galī niklī
ek lamhe ko DhūñDne ke liye
vaqt kī raah par sadī niklī
ham ne dariyā nichoḌ kar dekhā
us ke andar se tishnagī niklī
maut ne jism par jo dastak dī
ruuh le kar ye zindagī niklī
dekhiye dasht-e-āsmāñ 'asrār'
in sitāroñ kī ik nadī niklī
'aks ban kar chala gaya main bhi
aaine mein koi gali nikli
ek lamhe ko DhunDne ke liye
waqt ki rah par sadi nikli
hum ne dariya nichoD kar dekha
us ke andar se tishnagi nikli
maut ne jism par jo dastak di
ruh le kar ye zindagi nikli
dekhiye dasht-e-asman 'asrar'
in sitaron ki ek nadi nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.