aks-dar-aks aaina taqsim
aks-dar-aks aa.ina taqsīm
ek bande pe sau ḳhudā taqsīm
chashm-e-dar chashm-e-mauj mauj-e-furāt
rūh-dar-rūh karbalā taqsīm
infirādī shikār che ma.anī
chaar bāzoñ meñ fāḳhta taqsīm
ḳhanjaroñ par lahū kī sad aahaT
sau zabānoñ meñ zā.iqa taqsīm
ḳhvān le kar farishte utre the
muflisī kar ga.ī anā taqsīm
kholtā kaun paañv kī bandish
har qadam pe thā rāsta taqsīm
saañs karne kī sochiye 'parvez'
ab nahīñ hone ko havā taqsīm
aks-dar-aks aaina taqsim
ek bande pe sau KHuda taqsim
chashm-e-dar chashm-e-mauj mauj-e-furaat
ruh-dar-ruh karbala taqsim
infiradi shikar che mani
chaar bazon mein faKHta taqsim
KHanjaron par lahu ki sad aahaT
sau zabanon mein zaiqa taqsim
KHwan le kar farishte utre the
muflisi kar gai ana taqsim
kholta kaun panw ki bandish
har qadam pe tha rasta taqsim
sans karne ki sochiye 'parwez'
ab nahin hone ko hawa taqsim
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.