aks-dar-aks tamasha kya hai
aks-dar-aks tamāshā kyā hai
aa.ina aa.ina jhūTā kyā hai
koī aatā koī jaatā kyā hai
raat aur din kā tamāshā kyā hai
jis tarah aap ga.e chupke se
koī duniyā se yuuñ jaatā kyā hai
maanā duniyā hai baḌī ḳhuub baḌī
dil kī bastī se kushāda kyā hai
ye tah-e-ḳhāk hai kaisā mahshar
koī mazlūm taḌaptā kyā hai
mor phir naach rahe haiñ har-sū
giit jharnā koī gaatā kyā hai
merī muTThī meñ hai phir bhī 'saifī'
merī muTThī meñ zamāna kyā hai
aks-dar-aks tamasha kya hai
aaina aaina jhuTa kya hai
koi aata koi jata kya hai
raat aur din ka tamasha kya hai
jis tarah aap gae chupke se
koi duniya se yun jata kya hai
mana duniya hai baDi KHub baDi
dil ki basti se kushada kya hai
ye tah-e-KHak hai kaisa mahshar
koi mazlum taDapta kya hai
mor phir nach rahe hain har-su
git jharna koi gata kya hai
meri muTThi mein hai phir bhi 'saifi'
meri muTThi mein zamana kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.