aks-e-jaanan meri nigah mein hai
aks-e-jānāñ mirī nigāh meñ hai
husn ab ishq kī panāh meñ hai
tang hai kā.enāt mere liye
itnī vus.at mirī nigāh meñ hai
jitnī pur-kaif hai umīd-e-karam
utnī hī dilkashī gunāh meñ hai
lau nikaltī hai har-bun-e-mū se
soz-e-sad-āh zabt-e-āh meñ hai
apnī manzil kā haal kyā jaane
vo musāfir abhī jo raah meñ hai
aah kī hī nahīñ to kyā ma.alūm
kitnī tāsīr merī aah meñ hai
be-qarārī jo thī mire dil meñ
ab vahī aap kī nigāh meñ hai
dekhte kyā haiñ aap hairat se
naqsh-e-pā aap hī kā maah meñ hai
shaiḳh sāhab kahāñ chale aa.e
mai-kada kyā haram kī raah meñ hai
adl-gustar zarā ḳhayāl rahe
aadmī terī bārgāh meñ hai
saath degī tū ai ḳhirad kab tak
terī manzil to merī raah meñ hai
husn jaisā hai merī duniyā meñ
vo na anjum meñ hai na maah meñ hai
aks-e-jaanan meri nigah mein hai
husn ab ishq ki panah mein hai
tang hai kaenat mere liye
itni wusat meri nigah mein hai
jitni pur-kaif hai umid-e-karam
utni hi dilkashi gunah mein hai
lau nikalti hai har-bun-e-mu se
soz-e-sad-ah zabt-e-ah mein hai
apni manzil ka haal kya jaane
wo musafir abhi jo rah mein hai
aah ki hi nahin to kya malum
kitni tasir meri aah mein hai
be-qarari jo thi mere dil mein
ab wahi aap ki nigah mein hai
dekhte kya hain aap hairat se
naqsh-e-pa aap hi ka mah mein hai
shaiKH sahab kahan chale aae
mai-kada kya haram ki rah mein hai
adl-gustar zara KHayal rahe
aadmi teri bargah mein hai
sath degi tu ai KHirad kab tak
teri manzil to meri rah mein hai
husn jaisa hai meri duniya mein
wo na anjum mein hai na mah mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.