aks-e-jamal-e-yar se jalwa numa hain hum
aks-e-jamāl-e-yār se jalva numā haiñ ham
kirnoñ kī tarah phaile hue jā-ba-jā haiñ ham
ham se nazar milāo ki dard-āshnā haiñ ham
is daur-e-bevafā meñ sarāpā vafā haiñ ham
hāthoñ kī in lakīroñ kā qissa ajiib hai
paḌhne ke ba.ad bhī na samajh paa.e kyā haiñ ham
kis ko ḳhabar hai niyyat-e-vā.iz kī mai-kasho
kahne ko us ne kah to diyā pārsā haiñ ham
yaaro ḳhatā muaaf ho us sāf-goī kī
kah de jo muñh pe baat vahī ā.īna haiñ ham
ham ko to muskurāne kī aadat hai kyā kareñ
duniyā samajh rahī hai sukūñ-āshnā haiñ ham
sau baar un ke va.adoñ ko jab aazmā chuke
ab tak isī fareb meñ kyuuñ mubtalā haiñ ham
chamkā tumhārā husn hamārī nigāh se
tum chāñd kī tarah ho to sūraj-numā haiñ ham
'shāhid' hamāre qatl kī maqtal meñ dhuum hai
suntā hai kaun kis se kaheñ be-ḳhatā haiñ ham
aks-e-jamal-e-yar se jalwa numa hain hum
kirnon ki tarah phaile hue ja-ba-ja hain hum
hum se nazar milao ki dard-ashna hain hum
is daur-e-bewafa mein sarapa wafa hain hum
hathon ki in lakiron ka qissa ajib hai
paDhne ke baad bhi na samajh pae kya hain hum
kis ko KHabar hai niyyat-e-waiz ki mai-kasho
kahne ko us ne kah to diya parsa hain hum
yaro KHata muaf ho us saf-goi ki
kah de jo munh pe baat wahi aaina hain hum
hum ko to muskurane ki aadat hai kya karen
duniya samajh rahi hai sukun-ashna hain hum
sau bar un ke wadon ko jab aazma chuke
ab tak isi fareb mein kyun mubtala hain hum
chamka tumhaara husn hamari nigah se
tum chand ki tarah ho to suraj-numa hain hum
'shahid' hamare qatl ki maqtal mein dhum hai
sunta hai kaun kis se kahen be-KHata hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.