aks hai kis ka kis ki sada hai
aks hai kis kā kis kī sadā hai
pattā pattā mahv-e-duā hai
kitne raushan soch ke lamhe
ek parinda naġhma-sarā hai
jī meñ hai ab us se kah duuñ
chāñd hamārā Duub chukā hai
apnī kahnā apnī sunñā
ġhuncha anā kā khilne lagā hai
mere haq meñ kuchh to likkho
adl-e-tarāzū Dol rahā hai
ik divāna sher meñ pinhāñ
dard parāyā baañT rahā hai
aks hai kis ka kis ki sada hai
patta patta mahw-e-dua hai
kitne raushan soch ke lamhe
ek parinda naghma-sara hai
ji mein hai ab us se kah dun
chand hamara Dub chuka hai
apni kahna apni sunna
ghuncha ana ka khilne laga hai
mere haq mein kuchh to likkho
adl-e-taraazu Dol raha hai
ek diwana sher mein pinhan
dard paraya banT raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.