aks har roz kisi gham ka paDa karta hai
'aks har roz kisī ġham kā paḌā kartā hai
dil vo ā.īna ki chup-chāp takā kartā hai
bahte paanī kī tarah dard kī bhī shakl nahīñ
jab bhī miltā hai nayā ruup huā kartā hai
maiñ to bahrūp huuñ us kā jo hai mere andar
vo koī aur hai jo mujh meñ jiyā kartā hai
rang sā roz bikhar jaatā hai dīvāroñ par
kuchh diye jaisā darīche meñ jalā kartā hai
jaane vo kaun hai jo raat ke sannāTe meñ
kabhī rotā hai kabhī ḳhud pe hañsā kartā hai
roz rāhoñ se guzartā hai sadāoñ kā julūs
dil kā sannāTā magar roz baḌhā kartā hai
'aks har roz kisi gham ka paDa karta hai
dil wo aaina ki chup-chap taka karta hai
bahte pani ki tarah dard ki bhi shakl nahin
jab bhi milta hai naya rup hua karta hai
main to bahrup hun us ka jo hai mere andar
wo koi aur hai jo mujh mein jiya karta hai
rang sa roz bikhar jata hai diwaron par
kuchh diye jaisa dariche mein jala karta hai
jaane wo kaun hai jo raat ke sannaTe mein
kabhi rota hai kabhi KHud pe hansa karta hai
roz rahon se guzarta hai sadaon ka julus
dil ka sannaTa magar roz baDha karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.