aks khul jata hai lekin daera khulta nahin
aks khul jaatā hai lekin dā.era khultā nahīñ
sāmne chehra na ho to ā.īna khultā nahīñ
ruuh se mahrūm-e-bīnā.ī pe manzar kyā khule
aañkh kī dahlīz par to ratjagā khultā nahīñ
maslahat ke jugnuoñ ko saath rakhte haiñ miyāñ
ranjishoñ ke darmiyāñ to rāsta khultā nahīñ
zindagī aur maut donoñ hī anokhe bhed haiñ
ek khul jaatā hai lekin dūsrā khultā nahīñ
lafz jo dil se na nikleñ be-asar rah jaate haiñ
be-yaqīnī meñ kabhī harf-e-duā khultā nahīñ
ishq se vāqif nahīñ hai nukta-chīñ terā safī'
sher kyā khultā ki us par qāfiya khultā nahīñ
aks khul jata hai lekin daera khulta nahin
samne chehra na ho to aaina khulta nahin
ruh se mahrum-e-binai pe manzar kya khule
aankh ki dahliz par to ratjaga khulta nahin
maslahat ke jugnuon ko sath rakhte hain miyan
ranjishon ke darmiyan to rasta khulta nahin
zindagi aur maut donon hi anokhe bhed hain
ek khul jata hai lekin dusra khulta nahin
lafz jo dil se na niklen be-asar rah jate hain
be-yaqini mein kabhi harf-e-dua khulta nahin
ishq se waqif nahin hai nukta-chin tera safi'
sher kya khulta ki us par qafiya khulta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.