aks ne aaine ka ghar chhoDa
aks ne ā.īne kā ghar chhoḌā
ek saudā thā jis ne sar chhoḌā
bhāgte manzaroñ ne āñkhoñ meñ
jism ko sirf aañkh bhar chhoḌā
har taraf raushnī sī phail ga.ī
saañp ne jab kabhī khañDar chhoḌā
dhuul uḌtī hai dhuup baiThī hai
os ne āñsuoñ kā ghar chhoḌā
khiḌkiyāñ pīTtī haiñ sar shab bhar
āḳhirī fard ne bhī ghar chhoḌā
kyā karoge 'nizām' rātoñ meñ
zaḳhm kī yaad ne agar chhoḌā
aks ne aaine ka ghar chhoDa
ek sauda tha jis ne sar chhoDa
bhagte manzaron ne aankhon mein
jism ko sirf aankh bhar chhoDa
har taraf raushni si phail gai
sanp ne jab kabhi khanDar chhoDa
dhul uDti hai dhup baiThi hai
os ne aansuon ka ghar chhoDa
khiDkiyan piTti hain sar shab bhar
aaKHiri fard ne bhi ghar chhoDa
kya karoge 'nizam' raaton mein
zaKHm ki yaad ne agar chhoDa
- Book : Rasta Ye Kahin Nahin Jata (Pg. 70)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vagdevi Publication (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.