aks pani mein agar qaid kiya ja sakta
aks paanī meñ agar qaid kiyā jā saktā
ain-mumkin thā maiñ us shaḳhs ko apnā saktā
kaash kuchh der na palkoñ pe Thahartī shabnam
maiñ use sabr kā mafhūm to samjhā saktā
be-sahārā koī miltā hai to dukh hotā hai
maiñ bhī kyā huuñ ki kisī kaam nahīñ aa saktā
kitnī be-sūd judā.ī hai ki dukh bhī na milā
koī dhoka hī vo detā ki maiñ pachhtā saktā
rūThne vaale kī āñkheñ bhī to pur-nam thiiñ 'zafar'
mujh se be-ashk bhalā kaise rahā jā saktā
aks pani mein agar qaid kiya ja sakta
ain-mumkin tha main us shaKHs ko apna sakta
kash kuchh der na palkon pe Thaharti shabnam
main use sabr ka mafhum to samjha sakta
be-sahaara koi milta hai to dukh hota hai
main bhi kya hun ki kisi kaam nahin aa sakta
kitni be-sud judai hai ki dukh bhi na mila
koi dhoka hi wo deta ki main pachhta sakta
ruThne wale ki aankhen bhi to pur-nam thin 'zafar'
mujh se be-ashk bhala kaise raha ja sakta
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 13.08.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.