aks par yun aankh Dali jaegi
aks par yuuñ aañkh Daalī jā.egī
sāmne kī choT ḳhālī jā.egī
ye qayāmat bhī nikālī jā.egī
us galī se khā ke gaalī jā.egī
ka.abe meñ botal khule mauqa kahāñ
zamzamī se aaj Dhālī jā.egī
gul to kyā haiñ tā-qafas ai bād-e-tund
patta patta Daalī Daalī jā.egī
bazm-e-sāqī meñ agar laġhzish huī
haath se mai kī pyālī jā.egī
gudgudāne ko kaf-e-pā dil ke saath
ārzū-e-pā.emālī jā.egī
vā dar-e-tauba hai to jaldī hai kyā
baat bigḌī kuchh banā lī jā.egī
murda koī aarzū is dil meñ hai
kah ga.e vo jaan Daalī jā.egī
mai-kade ham ghar se jā.eñge 'riyāz'
ek botal saath ḳhālī jā.egī
aks par yun aankh Dali jaegi
samne ki choT KHali jaegi
ye qayamat bhi nikali jaegi
us gali se kha ke gali jaegi
kabe mein botal khule mauqa kahan
zamzami se aaj Dhaali jaegi
gul to kya hain ta-qafas ai baad-e-tund
patta patta Dali Dali jaegi
bazm-e-saqi mein agar laghzish hui
hath se mai ki pyali jaegi
gudgudane ko kaf-e-pa dil ke sath
aarzu-e-paemali jaegi
wa dar-e-tauba hai to jaldi hai kya
baat bigDi kuchh bana li jaegi
murda koi aarzu is dil mein hai
kah gae wo jaan Dali jaegi
mai-kade hum ghar se jaenge 'riyaz'
ek botal sath KHali jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.