aks tera banate rahte hain
aks terā banāte rahte haiñ
bas tamāsha banāte rahte haiñ
ghar to mumkin nahīñ banā paa.eñ
ghar kā naqsha banāte rahte haiñ
jin kā koī nahīñ zamāne meñ
sab ko apnā banāte rahte haiñ
kyā batā.eñ ki kyā mashāġhil haiñ
un kā huliya banāte rahte haiñ
justujū hai hameñ bhī manzil kī
apnā rastā banāte rahte haiñ
ek chhoTī sī baat par aksar
log jhagḌā banāte rahte haiñ
kitne be-dard haiñ mire aañsū
aañkh dariyā banāte rahte haiñ
ishq meñ niiñd aa bhī jaa.e agar
ḳhvāb chehrā banāte rahte haiñ
log 'ābid' samajh ke bastī ke
mujh se naata banāte rahte haiñ
aks tera banate rahte hain
bas tamasha banate rahte hain
ghar to mumkin nahin bana paen
ghar ka naqsha banate rahte hain
jin ka koi nahin zamane mein
sab ko apna banate rahte hain
kya bataen ki kya mashaghil hain
un ka huliya banate rahte hain
justuju hai hamein bhi manzil ki
apna rasta banate rahte hain
ek chhoTi si baat par aksar
log jhagDa banate rahte hain
kitne be-dard hain mere aansu
aankh dariya banate rahte hain
ishq mein nind aa bhi jae agar
KHwab chehra banate rahte hain
log 'abid' samajh ke basti ke
mujh se nata banate rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.