aksar dayar-e-ishq se ho kar guzar gae
aksar dayār-e-ishq se ho kar guzar ga.e
hañs kar guzar ga.e kabhī ro kar guzar ga.e
khaTkī nigāh-e-shauq meñ gulshan kī ḳhārgī
ham chāk-e-dil ko ġham se piro kar guzar ga.e
patvār TūTne kā huā ranj is qadar
ham naav tund-rau meñ Dubo kar guzar ga.e
baḳhshī hai ahd-e-lutf ne rātoñ kī tīrgī
din husn-e-e.atibār meñ so kar guzar ga.e
manzil se kyā pata ki nikal aa.e duur ham
hosh-o-havās raah meñ kho kar guzar ga.e
guzrī jo un pe shaaq tahī-dāmanī mirī
āñchal ko āñsuoñ meñ bhigo kar guzar ga.e
'rāzī' ko ġham hai mere liye kuchh na kar sake
ye bhī to kam nahīñ hai ki jo kar guzar ga.e
aksar dayar-e-ishq se ho kar guzar gae
hans kar guzar gae kabhi ro kar guzar gae
khaTki nigah-e-shauq mein gulshan ki KHargi
hum chaak-e-dil ko gham se piro kar guzar gae
patwar TuTne ka hua ranj is qadar
hum naw tund-rau mein Dubo kar guzar gae
baKHshi hai ahd-e-lutf ne raaton ki tirgi
din husn-e-eatibar mein so kar guzar gae
manzil se kya pata ki nikal aae dur hum
hosh-o-hawas rah mein kho kar guzar gae
guzri jo un pe shaq tahi-damani meri
aanchal ko aansuon mein bhigo kar guzar gae
'raazi' ko gham hai mere liye kuchh na kar sake
ye bhi to kam nahin hai ki jo kar guzar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.