alamat hai ye kaisi is taghayyur ka sabab kya hai
alāmat hai ye kaisī is taġhayyur kā sabab kyā hai
hare pattoñ pe harf-e-zard kyoñ mausam ne likkhā hai
ḳhutūt-e-āgahī pe jam ke mahkā hai lahū merā
salīb-e-fikr pe laTkā huā jab mujh ko dekhā hai
kahīñ dekhe na jā.eñge jahāñ meñ ham se dīvāne
fareb-e-ārzū ham ne har ik manzil pe khāyā hai
sadāqat kī sadā.eñ dar se Takrā ke palaT aa.iiñ
makīñ shāyad abhī tak dhuup kī chādar meñ lipTā hai
ḳhizāñ aa.ī to jaane sūrat-e-hālāt kyā hogī
abhī tak to nigār-e-gul kā chehra ḳhuub nikhrā hai
nizām-e-āsmāñ bhī ek sā mausam nahīñ rakhtā
kabhī taare chamakte haiñ kabhī sūraj nikaltā hai
ravāñ hai kaun sī manzil ko ye aThkheliyāñ kartī
nadī ko kyā ḳhabar merā samundar kitnā pyāsā hai
alamat hai ye kaisi is taghayyur ka sabab kya hai
hare patton pe harf-e-zard kyon mausam ne likkha hai
KHutut-e-agahi pe jam ke mahka hai lahu mera
salib-e-fikr pe laTka hua jab mujh ko dekha hai
kahin dekhe na jaenge jahan mein hum se diwane
fareb-e-arzu hum ne har ek manzil pe khaya hai
sadaqat ki sadaen dar se Takra ke palaT aain
makin shayad abhi tak dhup ki chadar mein lipTa hai
KHizan aai to jaane surat-e-haalat kya hogi
abhi tak to nigar-e-gul ka chehra KHub nikhra hai
nizam-e-asman bhi ek sa mausam nahin rakhta
kabhi tare chamakte hain kabhi suraj nikalta hai
rawan hai kaun si manzil ko ye aThkheliyan karti
nadi ko kya KHabar mera samundar kitna pyasa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.